A1

Mukammal Tarika-e-Namaaz (SAHIH AHADEES KI ROSHNI MEIN)

Rasool Allah Sallallahu Alaihe Wasallam ne Farmaaya :-
“Tum Namaaz aise parho jaise tum ne Mujhe Namaaz Parhte dekha.”
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 361

Rasool Allah Sallallahu Alaihe Wasallam jab Namaaz ke liye khade hote to Qibla ki taraf rukh karte aur apne haathon ko kandhon ya kaano ke baraabar uthaate, Apni hatheliyo ko Qibla ki Jaanib karte aur ‘Allahu Akbar’ kahte the.
Sahih Muslim
Kitaab-us-Salaaat
Hadees Number - 390 & 391

Phir Daayein Haath se Baayein haath ko pakadte.
Sunan Nasai
Hadees Number - 888

Aur Dono Haatho ko Seene par baandh lete.
Sunan Abu Dawood
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number - 759
Ibn Khuzaymah
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number - 243

Uske baad Aap Sallallahu Alaihe Wasallam Ye dua parhte the.
‘Subhaanaka Allaahumma wa bihamdika wa tabaarakaasmuka…
Sunan Abu Dawood
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number - 775 & 776

Phir Aap ‘Auzubillahi min ash shaitaan ir rajeem’
Sunan Abu Dawood
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number - 764

Aur 'Bismillaahi ir-Rahman ir-Raheem' parhte the.
Sahih Muslim
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number - 399

Phir Aap Surah Fatiha parhte the.
Sahih Muslim
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number - 498

Jab Surah Fatiha Mukammal Parh lete to ‘Aameen’ kehte.
Sunan Nasai
Hadees Number - 880

Surah Fatiha ke baad Aap kabhi lambi, kabhi chhoti to kabhi darmiyaani Surah parhte.
Sunan Nasai
Hadees Number - 983

Fajr Ki Namaazon mein dusri Namaazo ki nisbat lambi qirat karte.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 771

Aap Fajr, Maghrib Aur Ishaa Ki Namaaz ki pehli do Raka’aton mein Buland awaaz se qirat karte the, Baaki mein Aahista [yani be-awaaz] qirat karte the.
Fajr ki Daleel :- Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 773
Maghrib ki Daleel :- Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 763 & 764
Ishaa ki Daleel :- Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 766 & 767

Aapka ye maamool tha ke har Namaaz mein pehli Rakaat dusri Rakaat se lambi hoti.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 758 & 759

Phir Aap ussi tarah Rafayadein karte jis tarah Namaaz ke shuru karte waqt karte the aur ‘Allaah u Akbar’ kehte hue Haalaat-e-Rukoo mein chale jaate.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 736 & 737

Apne haathon ki ungliyaan khol kar ghuton ke upar yun rakhte jaisa ke unhein Mazbooti se thaame hue hon.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 828

Apni Kamar ko hamwaar rakhte aur Sar ko kamar ke barabar is tarah rakhte ke wo na unchaa hota aur na jhuka hua hota.
Sahih Muslim
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number - 498

Aur 'Subhaana Rabbiyal Azeem' kehte.
Sunan Abu Dawood
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number - 871

Phir 'Sami allaahu liman hamidah' kehte hue uth jaate.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 795

Rukoo Se apna Sar uthaate aur Rafayadein karte the.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul -Azaan
Hadees Number - 736

Jab Aap Sallallaho Alaihe  Wasallam seedhe khade ho jaate to 'Rabbanaa wa lakal-hamd' kahte.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan,
Hadees Number - 796

Phir Allahu Akbar kahte aur sajde mein chale jaate.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 789

Is mauke par Aap Rafayadein na karte the.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 735

Aap Peshaani, Naak, Dono Haathon, Dono Ghutno aur Duno Qadmon ki ungliyo par sajdah karte the.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 812

Apne Haathon aur Paaon ki ungliyo ko Qibla ki jaanib rakhtey.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 828

Haalaat-e-Sajda mein Itidaal aur itminaan ka khaas khyaal rakhtey. Peshaani aur naak achchi tarha zameen par tikaate.
Sunan Abu Dawood
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number - 858

Hatheliyon par bojh daalte aur kehniyo ko zameen se uthaa kar rakhte.
Sahih Muslim
Kitaab -us-Salaat
Hadees Number - 494

Apne Baazoo badan se alag rakhte.
Sahih Bukhari
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number - 390

Pet ko Raanon se aur Pindhiliyo se unchaa rakhte.
Sahih Muslim
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number - 496

Haalat-e-Sajda mein 'Subhaana Rabbiyal Alaa' kahte.
Sunan Abu Dawood
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number - 871

Ammi Ayesha Radi Allahu Anha Bayaan Karti hain ki Maine Rasool Allah Sallallaho Alaihe Wasallam ko Sajde mein dekha, Aapki Dono Edhiyan apas mein mili huyi thi.
Ibn-e-Khuzaimah - 654
Bahiqi - 116

Phir Allahu Akbar kahte hue apna Sar Mubarak uthaate.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 789]

Baayein Paaon ko bichhaa kar us pe baith jaate aur Daayein Paaon ko khada karke rakhte aur Haathon ko Raano par rakh lete.
Sunan Abu Dawood
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number - 957

Aur Ye Dua parhte, ‘Allaahmma agh-firli warhamni wa-ajburni wa-ahdini wa-arzuqni’.
Jama Tirmizi
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number - 284

Phir Aap Allahu Akbar kah kar sajde mein chale jaate.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 803

Aur ussi tarah karte jis tarah pehle sajde mein kiyae the, Phir Allahu Akbar kah kar Sar Mubarak uthaate.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 803

Phir Aap dono Haathon ko Zameen par lagaa kar unke sahaare khade hote.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 824

Jab Aap aacchi tarah khade ho jaate to Qirat Shuru karte aur phir dusri Rakaat ussi tarah parhte jis tarah Pahli Rakaat parhte the.
Phir Tash’hudd Awwal ke liye yun baithte jis tarah do Sajdo ke darmiyaan baithte the, Daayaan Haath Daayein Raan par aur Baayaan Haath Baayein Raan par rakhte. Daayein haath ke angoothe ko darmiyaan waali ungli ke Uper rakhte Aur shahaadat ki ungli se lagataar  ishaara karte the.
Sunan Abu Dawood
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number -957

Aur us par Nazar rakhte.
Sunan Abu Dawood
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number - 990

Phir Ye kalimaat parhte, “Attahiyyaatu lillaahi wassalawaatu………….”
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 831
Sahih Muslim
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number - 402

Aap darmiyaane tash’hud ke liye thori der baithte Phir aap takbeer kahte hue khade ho jaate.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 803

Is mauqe par aap Rafayadein bhi karte the.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 739

Aur teesri aur chauthi Rakaat ada karte. Yeh Rakaatein pehli do rakaato se mukhtasar hoti thi. Kyunki aap inn mein sirf Surah Fatiha parha karte the.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan
Hadees Number - 776
Sahih Muslim
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number - 451

Phir Aakhri tash’hud mein is tarah baithte ke baayein paaon ko bichhaa kar daayein paaon ki pindli ke neeche se kadam baahar nikaal letey, daayein paaon ko khada kar lete aur zameen par baith jaate.
Sahih Bukhari
Kitaab-ul-Azaan,
Hadees Number - 828

Phir Aakhri Tash’hud parhte. Us mein tash’hud ke ilaawa durood sharif parhte “Allaahumma salli alaa Muhamadin wa alaa aali Muhammadin...
Sahih Muslim
Kitaab-us-Salaat
Hadees Number - 406

Phir aap Aakhir mein Jahannum, Azaab-e-Qabr, Zindagi aur Maut ke fitno aur Dajjaal ke fitne se Allaah Ta’ala ki panaah talab karte aur wo duaayein karte jo Kitaab-o-Sunnat mein maujood aur mehfooz hai.
Darj-e-zil Dua aapko bahut pasand thi, balke aap ne ise parhne ka hukm diya.
“Allaahumma innee auzu bika min azaabil qabri, wa min azaabi jahannama, wa min fitnatil-mahyaa wala mamamaati, wa min sharri fitnail-maseehid dajjaal.”
Sahih Muslim
Kitaab-ul-Masajid
Hadees Number - 588

Phir aap daayein jaanib aur baayein jaanib ‘Assaamu alaykum wa rehmatullaahi’ kah kar salaam pherte the.
Sahih Muslim
Kitaab-ul-Masajid
Hadees Number - 582

Kalimaat salaam ki ibtidaa Qibla ki taraf muh kar ke karte aur Aakhri kalmaa adaa karne tak chehra mukammal daayein ya baayein taraf pher lete the.

Jab Aap salaam pher letey to teen martaba ‘Astaghfirullah’ kahte aur phir yeh kalmaat kehte,  "Allaahumma antas-salaamu wa minkas-salaamu, tabaarakta yaa Zal-Jalaali wal-ikraam".
Sahih Muslim
Kitaab-ul-Masajid
Hadees Number - 592

Comments

Popular posts from this blog

Did Umar ibn Al-Khattab bury his daughter alive?

Stoning to death allowed

Ali